Friday, May 27, 2011

Kayse kate yeh din

kayse kate yeh din...
khowa khowa sa rehta hai zindegi...
jo lamha dharkan me samhal kar rakha hai maine,
uss do pal ko le kar ji raha hai yeh zindegi..
do pal ki khushiya manga tha rubse...
mila umar bhar ki gaum...
kayse kate yeh din..

mere do be juban ankhen,
talash karta rehta hai unki chahra...
ek pal ke liye agar ankh band ho jay toh
samne se wo chahra nikal jati hai... ankh me do bund anshu de kar
din dhal jati hai to raat ki chadar lapet lete hai zindegi...
magar jo chupe huye anshu hai... use na chupa paya yeh zindegi...
kayse kate yeh din...
do pal ka khushia, na jane kitne saal ki gaum de gayee
har pal jo talash hai mera
umar bhar ki saja ban gayee hai yeh zindegi...

No comments: